Farsh wale teri shokat ka uluv kya jaane
Khusrawan Arsh pe Udta hai farera tera


Mushkil Alfaz 

Farsh wale : zameen wale
Shokat : ra'aab wa dabdaba
uluv : Bulandi
Khusrawan : (Azmat wa shokat , yahan yahi  murad hai ya) Khusru - Ek badshah ka naam bhi hai , Agarche yahan Mutlakan Badshah ke liye bola gaya hai , jab ke Alif nida ka hai , yani Ae Khuda ki Khudai ke Badshah .
Pharera : Jhanda , Ilm (knowledge) .

Mafhoom wa Tashreeh : 

Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam)  ! Aap ki Azmat ke jande to arsh pe lehra rahe hein , In Farsh walon ko kya pata Aap ki azmat wa shan kya hai .

Quran ki Aayat Tarjuma : "Hamne Aapki khatir Aapke zikr ko buland farma diya . "
Aur Hadees-e-Qudsi : Jahan aur jab mera Zikr hoga wahan tera zikr hoga .
Ko Samne rakhein aur fir Sarkar-e-Do Alam Alayhi Salam ki wiladate ba-sa'adat ke wakt ba riwayate mawahibu duniya Allah Ta'ala ne Ek noor ka jhanda ba-dast Jibraeel Ameen (AS) kaaba ki chhat par lagwaya , Ek Mashrik mein Ek Magreeb mein ya ba-riwayat digar Ek Baytul Mukaddas par , Ek zameen o Aasman ke darmiyan , Ek Hazrat Aamena ke ghar par aur Ek Aasmanon ke upar Baytul Ma'moor par Jo Khana-e-Kaba ki balkil sidh par hai aur khana-e-Kaba jaisi hi imarat hai , Ab Jhum kar padein :

Khusrawan Arsh pe Udta hai farera tera