Click to see sharah of that sher


Wah kya judo karam hai shahe bat'ha tera
Nahin sunta hi nahin mangne wala tera

View Sharah

Dhare chalte hein ata ke wo hai qadrah tera
Tare khilte hein sakha ke wo hai zarra tera
Faiz hai ya shahe tasneem nirala tera
Aap pyason ke tajassus mein hai dariya tera

View Sharah

Agniyaa palte hein dar se wo hai bada tera
Asfiyaa chalte hein sar se wo hai rasta tera

View Sharah

Farsh wale teri shokat ka uluv kya jaane
Khusrawan arsh pe udta hai farera tera

View Sharah

Aasman khwan , zameen khwan , zamana mehman
Sahibe khana laqab kiska hai tera tera

View Sharah

Mein to mailk hi kahun ga ke ho mailk ke habeeb
Yani mehboobo muhhib mein nahin mera tera

View Sharah

Tere kadmon mein jo hai ghair ka muh kya dekhe
Kaun nazron pe chadeh dekh ke talwa tera

View Sharah

Behare saeel ka hun saeel na kunven ka pyasa
Khud buja jaaye kaleja mera chhinta tera

View Sharah

Chor hakim se chhupa karte hein ya uske khilaf
Tere daman mein chhupe chor anokha tera

View Sharah

Aankhen thandi hon jigar taaje hon jaanein sayrab
Sachche suraj wo dil aara hai ujala tera

View Sharah

Dil abas khauf se patta sa uda jaata hai
Palla halka saheeh bhari hai bharosa tera

View Sharah

Ek mein kya mere isyaan ki hakeekat kitni
Muj se so laakh ko kafi hai ishara tera

View Sharah 

Muft pala tha kabhi kaam ki aadat na padhi
Ab amal puchhte hein haye nikamma tera

View Sharah

Tere tukdon pe pale ghair ki thokar pe na dal
Jidkiyan khayen kahan chhod ke sadka tera

View Sharah

Khwaro bimar khatawaro gunahghar hun mein
Raafei wa nafein wa shafei lakab aaqa tera

View Sharah

Meri takdeer buri ho to bhali karde ke hai
Mahaw wa asbat ke daftar pe karoda tera

View Sharah

Tu Jo Chahe To Abhi Mail Mere dil ke dhulein
Ke Khuda dil nahin karta kabhi maila Tera

View Sharah

Kis ka Munh takein , kahan jaayein , Kis se kahein
Tere ji qadmon pe mit jaaye ye paala Tera


Tune Islam diya , Tune Jama'at mein liya
Tu Kareem ab koi firta hai atayyah Tera


Maut sunta hun talkh hai zahraba-e-naab 
Kaun laade Mujhe Talwon ka gisala Tera


Door kya jaaniye badkar pe kaisi guzre 
Tere hi dar pe mare be-kas wa tanha Tera


Tere Sadke Mujhe Ek bund bahot hai Teri 
Jis din acchhon ko mile jaam chhalakta Tera


Haramo Tayba wa Bagdad jidhar kijiye nigah
Jo'at padti hai Teri noor hai chhinta Tera


Teri Sarkar mein laata hai Raza usko shafee'i
Jo Mera Gaus hai aur ladla beta Tera